ai arz-o-sama ke khaliq be-aib-o-dana rahim-o-malik na jaane kitni hai makhluq teri hisab kaise tu rakhta hoga kahin pe insan kahin pe shaitan farishte jin aur tuyur-o-haiwan bahr-o-bar mein zamin ke bhitar sang-o-chob aur faza ke andar hain aur bhi to karodon zi-ruh hain sab ke sab jo mutia-o-qael magar wo aalam fahim jis ko ki to ne ahsan-tarin banaya ashraf-ul-khalq zaki banaya wahi jo hum hain ki yani insan hai dawa jis ko payambari ka malaik-o-jin pe bartari ka hai jis ki khidmat mein chand-suraj hua samundar pahad baadal zamin ka madfan faza ki wusat na jaane phir kya hua ye hum ko razil bante chale gae hum bachchon budhon pe qahr dha kar khabis bante chale gae hum khud apni beti bahan ko apne hawas ka luqma bana rahe hain apni man ko bahu ko apni ashkon mein hum dubo rahe hain amn ki jaghon ko raund dala tumhein bhi hisson mein bant dala khudaya koi khata hui hai ya shayad hum se ya shayad tujh se hisab mein tere kami hai shayad ya meri fitrat badal gai hai ai khaliq-e-kaenat-o-bartar bas ek fariyaad aur sun le hisab apna tu thik kar le ya phir se fitrat badal de meri