ghalat-fahmi

jaan-lewa ek jhadi
jis ka masraf kuchh nahin

aur paidaish nahin mutlaq bhi muhtaj-e-zamin
ye hai khud-rau

dam-zadan mein
yak-ba-yak ug aae apne aap hi

is jagah ya us jagah kyon har kahin
jis pe aayad shart-e-mausam bhi nahin

phul patte sab zahrile bahut
zahr bhi wo har samm-e-qatil se badh kar zud-asar

us pe kante
aur kanton ki chubhan khunkhar nezon se ziyaada tez-tar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close