walid ki yaad mein

sahar ke sath wo khamosh ho chuka hai magar
sharab-e-nur musalsal pila raha hai mujhe

meri nigahon se ru-posh ho chuka hai magar
qadam qadam pe wo surat dikha raha hai mujhe

makan mein nazar aata nahin kahin bhi magar
main us ko dhundun to be-intiha mohabbat se

mujhe wo daud kar apne gale lagata hai
palang us ka hai khali magar usi par wo

main ro padun to mujhe pyar se bithata hai
main gham ki dhup mein jalne lagun to rah rah kar

meri jabin pe wo shafqat se hath rakhta hai
wo mere pas mere sath har ghadi hai magar

jo log qabr mein us ko utar aae hain
hain sogwar dilaun unhen yaqin kyunkar

mara nahin hai mera bap ab bhi zinda hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close