mauj-e-hawa ko ab khabron ke dam se bhi chhut jaane do gahre dhuen aur gard ke baadal mein kaghaz aur ret ke zarre aadhe sach ke sath chimat kar ab ghar ghar tak aa pahunche hain apni sansen rok rahe hain bain sunana shor machana khak udana kab tak kab tak ye sab ko dhamkana tum bhi sabr karo jabran khud ko kya mazlum banana mumkin hoga taqat-war ho apne ghar tak sachchai insaf mohabbat ke qail ho lekin ghar se bahar aankhen sath nahin hain kabhi kabhi yun bhi hota hai ye likha hua hai jab hathi ki sund mein ghus kar chyunti aafat ban jati hai ek ghulail se dawid goliath ko mar diya karte hain had se jab unche ho jaen qasr gira karte hain