ghar-damadi kar ke main ne khud ko liya janjal mein dal main samjha tha aish karunga lekin jina hua muhaal naukar hun damad nahin hun karta hun ghar ke sab kaam thakan se haal kharab hai mera pila ho gaya man ka lal sas mujhe jab sab ke samne mua nikhattu kahti hai tab mera dil kahta hai ja us ke gale mein phanda dal jab bhi us ke samne jaun nak aur bhanwen chadhati hai mujh se bas itna kahti hai ja aur ja kar dal ubaal zara si bhi ghalati kar dun to mauqa use mil jata hai mar ke chanta kar deti hai gal mera wo lal gulal us ki baaton se jalta hai dil aur mujh se kahta hai is dafa use khana de to is mein thoda kuchla dal dal to dun main kuchla lekin police mujhe nahin chhodegi judge bhi bas itna hi kahega pakda kyon gaya mere lal