ghar-damad ki mushkilen

jaana tha sasural se mushkil rahne mein ruswai thi
hum ne tere jahan mein maula kaisi qismat pai thi

sas susar ki khidmat mein hamein sara din lag jata tha
phir bhi hum ko biwi ne har baat pe dant pilai thi

hum hi the taqdir ke mare jo is ghar mein biyahe gae
warna bahut se damadon ki lottery bhi nikal aai thi

ab rote hain us din ko jab han kah kar muskae the
kya malum tha us muskan se hum ne ghulami pai thi

ban gae ghar-damad to phir bhala kaun hamein izzat deta
sas pitai kar ke gai to susar ne dant pilai thi

izzat-e-nafs ka sauda kar ke khun ke ghunt piye har dam
bhigi billi ban kar hum ne apni umr bitai thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close