ghar ki chinta

ghar se bahar
aangan mein

khat pe baithi
tin aurten

khusur-pusur karti hain!
ek moti hai

dusri lambi
tisri qad ki chhoti hai

chhoti donon hath hila ke
munh hi munh mein

jaane kya kahti hai
lambi sar se sar jode

bade chaw se sunti hai
moti nak pe ungli dhar ke

bina sune hi
matki sa sar dhunti hai

pas hi ek nannhi si chidiya
gire pade tinke chunti hai!


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close