kaisi aawaz hai koi kahta hai ye dasht maujud-o-mashhur-o-mauhum bas had idrak-o-ehsas-o-awaz tak hi nahin chashm-o-dil ka ye tair jise sair-e-parwaz samjhe ho majbur hai musht-e-par sar-burida-o-paband hi us ka sarmaya hai jis pe maghrur hai ta-ba-hadd-e-khirad ta-ba-hadd-e-junun jo bhi hai hech-o-be-maya hai kya gharaz is se ye kya hai kaisa hai kab se hai kab tak rahega use bhul jao ki tum khud harif-e-khudawand-e-afaq ho in sawalat mein khud tumhaari hi tauhin hai tum dil-e-arsh-e-asar ka aaina le ke aae ho jis mein kai rang ki tez-rau sust-rau shokh maddham sajal mustaqil muttasil muntashir munfail munqasim sada pechida mubham gurab-i-subuk nek-o-manhus maujud-o-mashhur-o-mauhum parchhaiyan yun guzarti hain jaise koi dhire dhire se palkon ko chhuta rahe khwab mein kaun hai kaun hai mawara-e-khirad mawara-e-junun mawara-e-nazar mawara-e-nafas muntazir muztarib apni surat dikhane ko bechain hai kaisi aawaz hai jo azal se taaqub mein hai mere lahje ka iman us ke takhatub mein hai ye kahin meri aawaz hi to nahin main mujhi ko sada de raha hun badi der se badi dur se main hi apna harif-e-azal main hi apna harif-e-abad mujh ko mera pata do ki main apni aawaz ki gunj hun