ab main ghar mein panw nahin rakhunga kabhi ghar ki ek ek chiz se mujh ko nafrat hai ghar wale sab ke sab mere dushman hain jail se milti-julti ghar ki surat hai abba mujh se roz yahi farmate hain kab tak mera khun pasina chatoge amman bhi har roz shikayat karti hain kya ye jawani pade pade hi katoge bhai kitabon ko rota rahta hai sada bahnen apna jism churae rahti hain maile kapde tan pe dagh lagate hain bhigi aanhken jaane kya kya kahti hain chulhe ko ji bhar ke aag nahin milti kapdon ko sanduq taraste rahte hain darwaza khidki munh khole takte hain diwaron par bhutne hanste rahte hain ab main ghar mein panw nahin rakhunga kabhi roz yahi main soch ke ghar se jata hun sab raste hir-phir ke wapas aate hain roz main apne aap ko ghar mein pata hun!