rasul-e-maslub ke do hazar barson ke baad ye waqia hua ye us zamane ki baat hai jab rasul-e-khurshid ras-ul-aflak par chamakta tha wo ek zamistan ki nim-shab ka saman tha wo nim-shab ek raqiq chadar na jaane kab se zamin ke murdar kalbad par padi hui hai aur us ke masmum rauzanon se gale sade jism ka taffun ubal raha hai shajar hajar dhund ke kafan mein chhupi hui khamushi ke sine mein chubh rahe the anasir-e-waqt munjamid the tamam ruhen fishaar-e-marqad mein mubtila thin aur aise hangam mein ek aawaz-e-nur afgan zuhur-e-khurshid ki bashaarat se dasht o dar ko jala rahi thi hazar-ha shab-gazidgan ke hujum se main ne us ko dekha wo khun-e-adam mein apni zinda khizan-zada ungliyan duboe khada tha hujum se ek ek gunahgar ko bulata aur us ke mathe pe kalma-e-subh likh raha tha tamam murde khizan-zada ungliyon ke chhune se jagte the gunahgar-e-nafs tha main bhi ummid-war-e-shifa tha main bhi phir us zamistan ki nim-shab mein hazar lamhat shaq guzre aur ek lamhe ne mere zakhm-e-jigar ko chhu kar kaha madawa-e-gham ki saat qarib hai sajda-rez ho ja ye us zamane ki baat hai jab zamin ke be-shumar murde lahu ka baptisma le rahe the lahu ka baptisma le rahe hain rasul-e-khurshid ki sada bhi to mar gai thi kohar mein wo kho gaya aur usi zamistan ki nim-shab mein khabar mili hai usi shabistan-e-nur-o-nikhat mein be-kafan lash par wo baitha hua hai apne khizan-zada hath se kisi ke lahu ki taqtir kar raha hai aur apne kase ko bhar raha hai khabar mili hai, lahu wo khurshid ka lahu hai