do raste hain donon tere ghar jate hain is raste se tin baras mein ghar pahunchega us par sat baras lagte hain jis par sat baras lagte hain wo rasta hamwar bhi hai us raste ke donon jaanib shahr bhi hai bazar bhi hai tin baras wale raste ke bich mein jangal padta hai jangal jis mein baras baras tak sone wale kale azhdar apne maqnatisi zahr se apni jaanib khinchte hain jangal jis ke mohlik patte pairon ke chhaalon se lipat kar sara lahu pi jate hain tu malik hai jis raste se jaana chahe ja sakta hai main ne apne dusre main ki baat suni aur khub hansa main khub hansa aur tin baras wale raste par chalne laga,