main ne jab pahle-pahal dekha tha ye mujhe kitne bhale lagte the tum ne gul-dan mein rakkha tha inhen thi mere kamre ki zinat in se aur ab thak gain aankhen meri dekhte dekhte surat in ki ye mahakte hain, na kumhlate hain din inhen chhu ke nikal jate hain kash mausam ki amal-dari mein ye bhi paband-e-taghayyur hote jab ye khilte to koi chun chun kar gundhta in ki ladi jude mein aur jab un pe khizan aa jati phenk deta main inhen kude mein