kahte hain ek roz ye mirrikh bhi kabhi apni zamin hi ki tarah ek jahan tha aabaad the wahan bhi bade pur-shikoh log ilm-o-hunar mein hikmat-o-danish mein taq the mutthi mein un ki sari tawanai qaid thi atom ki quwwaton pe bada ikhtiyar tha ek roz un ki ghalati se ya phir ghurur se atom ki sari quwwaten aazad ho gain sari hawa-e-zist faza se nikal gai mirrikh jo zamin hi jaisa jahan tha jal-bhun ke murda khak ka ek dher rah gaya hum bhi to ilm-o-hikmat-o-danish mein kam nahin hum ko bhi apni atomi taqat pe naz hai