khuda ki qudrat wo nak apni bade gharane mein ghis gae hain jo aqraba se akad rahe the wo samdhiyane mein ghis gae hain hamare ghar tin roz rah kar chale gae wo black-beauty magar kam-az-kam pachas sabun gharib-khane mein ghis gae hain mili hai jab bhi unhen wazarat assembly ho gai muattal hamari millat ke rahnuma to halaf uthane mein ghis gae hain jo tere walid ne meri shadi pe ek jodi diye the jute wo tere maike ki shah-rahon pe aane jaane mein ghis gae hain sahar ko uthti nahin hain begam baghair tabla baghair sargam hamare ghar ke tamam bartan unhen jagane mein ghis gae hain mushaere mein sunai hum ne jo dhedh-sau sher ki musaddas bahut se shaer to rakkhe rakkhe hi shamiyane mein ghis gae hain