ajnabi rah-guzar sochti hai koi darwaza khule har taraf dard ke lambe sae raste phail gae dur gae dhadkanen tez huin aur bhi tez ajnabi rah-guzar sochti hai koi mahjub nazara ubhre aur majbur faqiron ki tarah har qadam chalti hai dastak dastak har nafas ek nai rah har ek samt mein bhagi lekin jis tarah wasl ka har lamha judai ka safar ajnabi rahguzar sochti hai shayad ab aisa maqam aa jae har qadam aap har ek rah-guzar ho manzil khud-ba-khud dard ka har lamha ho lutf ajnabi rah-guzar sochti hai dar-ba-dar khak-basar sochti hai