ajib hain meri baaten ajib hai ehsas tumhein khuda na kare ye guman guzarte hon ki bambai ka ye gambhir sin-rasida shahr imaraton ka ye phaila hua ghana jangal malamaton ka balaon ka raqs-khana hai har ek shakhs hai aaseb-e-zar mein naza-ba-lab ki sans khul nahin sakti hai mar nahin sakta ajib hain meri baaten ajib hai ehsas tumhein khuda na kare ye guman guzarte hon ki bambai ka hasin shahr koi aurat hai saji-sajai sanwari hui jawan aurat pa jis ki ruh gunahon ka ek jahannam hai jawan jism jhulaste hain us ke shoalon mein magar ye jaan ke har ek jawan hai mohr-ba-lab mere gunah ko ruswaiyan nahin miltin ajib hain meri baaten ajib hai ehsas tumhein khuda na kare ye guman guzarte hon ye shahr shahr nigaran-e-mah-paiakar hai yahan pe chand andheron mein qatl hote hain yahan hunar ko mata-e-wafa mayassar hai yahan pe rotiyan rakkhi hain jutiyon ke tale ajib hain meri baaten ajib hai ehsas tumhein khuda na kare ye guman guzarte hon ki aadmi to bahar-haal be-sahaara hai yahan sawal mile raston pe soe hue yahan jawab mile uljhanon mein khoe hue yahan wo hath mile jin ka lams zinda hai yahan wo jism mile jin ki aag raushan hai ajib hain meri baaten ajib hai ehsas tumhein khuda na kare ye guman guzarte hon udas habs-zada dopahar ka har lamha sabaat-e-tishna-labi aazma ke jata hai fasana shab-e-hijran ka tul hai jaise umid-e-wasl mein jina sikha ke jata hai kuchh aise katte hain din raat kya khabar tum ko mata-e-umr lutata hun shahr-e-ghurbat mein tumhaari did ki ummid mit gai hoti to apni maut ek ilzam thi mohabbat mein ajib hain meri baaten ajib hai ehsas tumhein khuda na kare ye guman guzarte hon kisi udas shab-e-mah mein kabhi jab main garajte chikhte chinghadte samundar se ye puchhta hun tujhe kab sukun milta hai kabhi tahon mein hai halchal kabhi kinaron par kabhi hai sath pe shoridgi kabhi dil mein to thodi der samundar udas rahta hai phir us ke baad milata hai hath maujon ke khuda gawah samundar mujhe bulata hai! ab aa ki mujh se teri ruh ko ilaqa hai ab aa ki main to tere pas aa nahin sakta ajib hain meri baaten ajib hai ehsas tumhein khuda na kare ye guman guzarte hon!