lakh pardon mein rahun bhed mere kholti hai shairi sach bolti hai main ne dekha hai ki jab meri zaban dolti hai shairi sach bolti hai tera israr ki chahat meri betab na ho waqif is gham se mera halqa-e-ahbab na ho to mujhe zabt ke sahraon mein kyun rolti hai shairi sach bolti hai ye bhi kya baat ki chhup chhup ke tujhe pyar karun gar koi puchh hi baithe to main inkar karun jab kisi baat ko duniya ki nazar taulti hai shairi sach bolti hai main ne is fikr mein katen kai raaten kai din mere sheron mein tera nam na aae lekin jab teri sans meri sans mein ras gholti hai shairi sach bolti hai tere jalwon ka hai par teri meri ek ek ghazal to mere jism ka saya hai to katra ke na chal parda-dari to khud apna hi bharam kholti hai shairi sach bolti hai