ghas bhi mujh jaisi hai panw-tale bichh kar hi zindagi ki murad pati hai magar ye bhig kar kis baat gawahi banti hai sharmsari ki aanch ki ki jazbe ki hiddat ki ghas bhi mujh jaisi hai zara sar uthane ke qabil ho to katne wali machine use makhmal banane ka sauda liye hamwar karti rahti hai aurat ko bhi hamwar karne ke liye tum kaise kaise jatan karte ho na zamin ki numu ki khwahish marti hai na aurat ki meri mano to wahi pagdandi banane ka khayal durust tha jo hauslon ki shikaston ki aanch na sah saken wo paiwand-e-zamin ho kar yunhi zor-awaron ke liye rasta banate hain magar wo par-e-kah hain ghas nahin ghas to mujh jaisi hai! the grass is really like me