chand begana hai kaun is ko kahega apna is ke haalat juda is ke maqamat juda nau-damida kabhi kaamil kabhi napaid kabhi bas yahi rang-e-talawwun hai tashakhkhus is ka tare sargoshiyan karte rahe in ki tab-o-tab in se achchhi ki rasai mere dil tak pai chand ne socha mera qissa bhi mujh se behtar jo wahan chalta raha gunj yahan tak aai warna aafaq ki ye kar-r-gah-e-shisha-gari is mein dhalti hain ajab bhed bhari simaen qurb ki had se tajawuz ho to darpesh-e-fana intiha duri ki chhu len to bikhar hi jaen tab zamin ubhri mita wahima-e-tanhai jag utha hamhama anwa-e-kashish ka hama-gir jag uthi aaina-e-ru-ba-ru karwat leti unche aafaq-shikan sail ki mastana nafir ujli iksir si mitti wahin lau deti hui jhumte pedon ke sae hain jahan naqsh-ara partw-e-mah na hota to ye diwan-e-basit is bayaban mein na tartib diya ja sakta naghma-e-mauj bhi mauj is ka hai dariya gahra lahja-e-'mir' ki girai ka jadu jaga chandni ho na kahin nala-e-nai ki tajsim ab to pahchanna mushkil hai kahan kaun hai kya