chhat gae jab aap hi udi ghata chhai to kya turbat-e-pamal ke sabze pe lahar aai to kya jab zarurat hi rahi baqi na lahn-o-rang ki koyalen kukin to kya sawan ki rut aai to kya hijr ke aalam se jab chhut chuki nabz-e-nashat ab hawa ne khar-o-khas mein ruh daudai to kya ho chuki zauq-e-tabassum hi se jab beganagi ab chaman-afroz phulon ko hansi aai to kya mud chuki jab maut ke jade ki jaanib zindagi ab kisi ne aafiyat ki rah dikhlai to kya har nafas ke sath dil se jab dhuan uthne laga baadalon se chhan ke ab thandi hawa aai to kya samne jab aap ke gesu ki lahren hi nahin badliyon ne charkh par ab zulf bikhrai to kya ho chuka payab jab bahr-e-sar-o-barg-e-shabab ab samundar ki jawani badh par aai to kya ghuncha-e-ahd-e-tarab hi mil chuka ab khak mein khak-e-gulshan ab gul-e-tar ban ke itrai to kya mit chuke jab walihana bankpan ke walwale aai ab doshiza-e-mausam ko angdai to kya khul chuka jab parcham-e-gham zindagi ke qasr par ab hawaon ne kamar paudon ki lachkai to kya aansuon mein bah gain jab khun ki jaulaniyan jangalon ki chhanw mein barsat ithlai to kya 'josh' ke pahlu mein jab tum hi machal sakte nahin phir ghata ke damanon mein barq lahrai to kya