dekh ke tujh ko ye aata hai ki likkhun main ghazal sochta hun main yahi phir ki zarurat kya hai husn pe tere ye ranai teri shan jo hai ye teri zulfon mein kham jo hai sarape ki shabih tere nainon ki kaji jo hai adaon pe uruj surkhi-e-lab ki jo mazbah hai tamannaon ka tera joban ki jo sharminda-e-sad-fitna hai sukr ye tere huzuri ka bayan kaise ho jis ki masti mein muqayyad hain sabhi ke azhan sher-o-naghme isi sarshaari ke do-gane hain tum to khud hi ho ghazal jis pe taghazzul hai nisar aur use padhna jo chahun to na is ka itmam aur lafzon mein utarun to har ek lafz surur