ghazal-e-shab ke sath

main yahan nahin tha
main wahan nahin tha

dard-bhare aasman mein
chikh ban ke

ubhar raha tha
tang ghatiyon mein

gunj ban raha tha
samundaron pe

reza reza gir raha tha
main yahan nahin tha

kale jangalon ke ghor andhere mein tha
rafta rafta sab siyahi mit gai

sare jangal
kat gae

hayule ghatte ghatte
ghazal-e-shab bane

andhere chhat gae
abr ke siyah tukde dhund ban gae

chaar-su dhund phailti gai
ikaiyon ko dur dur tak bahati

chaar-su phailti gai
dhund mein

ghazal-e-shab ne
rafta rafta aankh kholi

zaban se kuchh na boli
haft-asmanon se le ke

taht-us-sura tak
hazar-ha charagh jal uthe

raushni se jal gai
ghazal-e-shab ki aankh nur thi

ghazal-e-shab ki aankh tur thi
rafta rafta

raushni ne raushni ko
apni jaanib khincha

aur main nur mein naha gaya
dudhiya siyah rang

chahaar samt chha gaya
paniyon ka zor

badhne laga
sailab aaya

bandh tute
ret ke gharaunde

mitti ke ganw
pattharon ke shahr dhah gae

subh-o-sham ke kinare
ek duje se gale mil gae

andhere jism ke khandar ki
siyah taqon mein

dilon ke sau charagh jal gae
rafta rafta

ghazal-e-shab ne aankh band ki
aur

sara pani khai ki taraf chala gaya
tez paniyon mein

main bhi aa gaya
ab faqat

main raushni mein band hun
aur

andheron ko taras raha hun
main yahan nahin hun

main
ghazal-e-shab ke sath hun

main
ghazal-e-shab ke sath hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close