pir-bakhsh building se pir-bakhsh ke marqad tak apni hi bakhshish ki duaon ke karbzar se guzar kar aane wali sar par guzishta mah o sal ke kitne hi thaal uthae aaj bhi ek qabr-e-gum-gashta ka nishan aur apne madum kal ke liye khitta-e-aman ek sath dhund rahi hai us ke nange talwon se chhune wali tapish ki lahar lahar use apne khilaunon se mahrum bachpan ke sath sath wo bahaaren bhi yaad dila jati hai jab kisi an-dekhe jhonke se mahak uthne ki khwahish mein us ke sapne pas-e-diwar murjha gae aur us ke baal chambeli ke phul bante gae aur phir us ki kalaiyon mein pahni hui jhurriyon mein talai chudiyon ke aks jhilmilane lage abhi abhi ek be-tartib sahukar apne bikhre hue noton ko tartib dene ka jaan-gusil fariza sar-anjam dete dete thak gaya mai maryam ne pahle to noton mein muqayyad zaruraton se mulaqat ki ek aur koshish ki aur phir ek nazar aasman par dali jaise wahan bhi koi rahta ho us ki aankhon se nikalne ke liye be-tab hasraton mein se kuchh to un goliyon ko bhi bhigo gain jinhen apne larazte hathon mein lete hi use yaqin ho chala tha ki aaj raat use koi dard nahin sataega aur subh ko khansi ka daura bhi nahin padega magar kahan bimariyan bhi aaj kal apne mizaj mein bahut be-niyaz ho gai hain