ghazal mir ki kab paDhai nahin

ghazal 'mir' ki kab padhai nahin
ki haalat mujhe ghash ki aai nahin
zaban se hamari hai sayyaad khush
hamein ab ummid-e-rihai nahin
kitabat gai kab ki us shokh ne
bana us ki gaddi udai nahin
nasim aai mere qafas mein abas
gulistan se do phul lai nahin
meri dil-lagi us ke ru se hi hai
gul-e-tar se kuchh aashnai nahin
nawishte ki khubi likhi kab gai
kitabat bhi ek ab tak aai nahin
juda rahte barson hue kyunki ye
kinaya nahin be-adai nahin
gila hijr ka sun ke kahne laga
hamare tumhaare judai nahin
siyah-talai meri zahir hai ab
nahin shab ki us se ladai nahin
This is a great padhai funny shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close