shaeri ka garm sare mulk mein bazar hai jis ko dekho wo qalam kaghaz liye tayar hai tez bekari ki jitni aaj kal raftar hai bas usi darja fuzun ghazlon ki paida-war hai har gali kuche mein hai sheri nashishton ki dukan zehan ko bimar rakhne ka ye karobar hai mubtadi ustad tak band o atai jo bhi hai sher-sazi ke junun mein mast hai sarshaar hai ek pyali chae rakh kar doston ke darmiyan be-tuki bahsen hain ghanton be-sabab takrar hai jo bhi shaer hai use dekho to hafton qabl se bas radif o qafiya se bar-sar-e-paikar hai qafiye jitne lughat mein mil sake sab chun liye in ko misron mein khapaya aur ghazal tayar hai maulwi haali hun ya mister kalimuddin hun un ki nazron mein ghazal be-rabta-e-afkar hai phir bhi an-padh log hon ya hon adab ke doctor jaane kyun us shokh chanchal se sabhi ko pyar hai daur-e-nau ka ho sukhan-war ya purani nasl ka jis ko dekho mahfilon mein bas us ka yar hai ek ada-e-khas se akde hue baithenge sab jo bhi shaer hai ba-zom-e-khud bada fankar hai sher sunne se ziyaada khud sunane ke liye nafkh ki haalat mein hain betabi-e-izhaar hai bans par chadhna utarna jis tarah ka kaam hai ye ghazal-paimai bhi waisa hi shaghl 'asrar' hai