ai zan-e-napak fitrat-e-paikar-e-makr-o-riya dushman-e-mehr-o-wafa ghaarat-gar-e-sharm-o-haya teri ho shokhi lachar hai tera har andaz poch sakht-tar hai sang-o-ahan se teri bahon ka loch tera zahir khushnuma hai tera baatin hai siyah har ada teri mukammal dawat-e-jurm-o-gunah teri chutki ki sada hai ya ki shaitan ka kharosh rahm kar insaniyat par o but-e-ismat-farosh al-aman ai tere masnui tabassum ka fareb tharthara uthti hai jis ke zor se nabz-e-shakeb ye nazakat ki numaish ye fareb-amez chaal dosh-e-hasti par tera napak hasti hai wabaal tere har ghamze ki tah mein hai banawat ka shikwa jis ke aage sar-ba-sajda masiyat ke dasht-o-koh tera chehra arghawani tera dil-e-be-ab-o-rang zindagi kya hai teri qanun se fitrat ke jang teri peshani ka har khat masiyat-aluda hai tera har iqdam na-farjam hai ba-huda hai tere honton par hansi hai dil tera afsurda hai tu ba-zahir ji rahi hai ruh teri murda hai tu husul-e-zar ki khatir kis qadar bechain hai kasab-e-daulat zindagi ka teri nasabulain hai tere mazhab mein hifazat aabru ki hai gunah mangti hai teri baaton se nissaiyat panah tera dil hai zang-aluda magar chehra hai saf tere zahir aur baatin mein hai kitna ikhtilaf jaanti hai apni ruswai ko to wajh-e-numud sinf-e-nazuk ki khuli tauhin hai tera wajud teri bedari nahin hai ek musalsal khwab hai kya tu waqif hai ki ismat gauhar-e-nayab hai jaanta hun teri bahon ki lachak ko bad-shiar kyun dikhati hai jadaw kanganon ko bar-e-abr meri nazron ko khuda-ra dawat-e-kawish na de jagmagate motiyon ke haar ko jumbish na de reshmin rumal se honton ki surkhi ko na chhu mujh pe chhal sakta nahin tera fareb-e-rang-o-bu zulf-e-mushkin ko hinai ungliyon se mat sambhaal khul chuka hai meri nazron par tera raaz-e-jamal reshmin sadi ko sar se khud hi dhalkati bhi hai bil-irada be-hayai kar ke sharmati bhi hai siskiyan bharti hai to angdaiyan leti hai to uf ai makkara bhari mahfil ko jal deti hai tu koi ho jata hai jab tere tasanno ka shikar chupke chupke kaam karta hai fareb-amez pyar tu dila deti hai us ko apni ulfat ka yaqin sach to ye hai tere kate ka koi mantar nahin zindagi ko is ki yaksar talkh kar deti hai tu kanp jata hai jigar wo chutkiyan leti hai tu bhagta hai jaise koi sanp ki phunkar se dur rahna chahiye yun hi tere kirdar se