ghubar-e-karwan

har-nafas par hum mizaj-e-baghban dekha kiye
yas ki nazron se apna aashiyan dekha kiye

dekhne wale bahaar-e-gulistan dekha kiye
hum bahaaron ke pas-e-parda khizan dekha kiye

kar hi kya sakte the jaur-e-asman dekha kiye
tutti bijli ujadta aashiyan dekha kiye

hausla-mandon ne pa li manzil-e-maqsud bhi
aur hum udta ghubar-e-karwan dekha kiye

hum ne dil ki baat kah kar farz pura kar diya
ahl-e-fan ahl-e-zaban tarz-e-bayan dekha kiye

waqt ki sazish hamein karti rahi apna shikar
aur hum hasrat se su-e-asman dekha kiye

dil ka samjhana na tha bas mein kisi ke ai 'nadim'
mehrban dekha kiye na-mehrban dekha kiye

intiha ye hai ki hum ne jaan bhi de di magar
shak ki nazron se hamin ko baghban dekha kiye

doston ne kar diya barbaad hum ko ai 'razi'
aur hum dil mein hisab-e-dostan dekha kiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close