tasbih aur zunnar

zunnar se tasbih ki phir kaise nibhegi
ye is se pareshan hai wo us se pareshan

kuchh abr-e-sitam aisa musallat hai faza par
insan ko insan samajhta nahin insan

masjid se barahman ko hai aabid ko buton se
nafrat ke diyon se hai har ek ghar mein charaghan

maghrib ki siyasat ne to duniya hi badal di
zunnar chamakdar na tasbih darakhshan

iman ke mehwar se 'razi' donon juda hain
gita wahan bakson mein yahan taq mein quran


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close