kahin to karwan-e-dard ki manzil thahar jae kinare aa lage umr-e-rawan ya dil thahar jae aman kaisi ki mauj-e-khun abhi sar se nahin guzri guzar jae to shayad bazu-e-qatil thahar jae koi dam baadban-e-kashti-e-sahba ko tah rakkho zara thahro ghubar-e-khatire-mahfil thahar jae khum-e-saqi mein juz zahr-e-halahal kuchh nahin baqi jo ho mahfil mein is ikram ke qabil thahar jae hamari khamushi bas dil se lab tak ek waqfa hai ye tufan hai jo pal bhar bar-lab-e-sahil thahar jae nigah-e-muntazir kab tak karegi aaina-bandi kahin to dasht-e-gham mein yar ka mahmil thahar jae