chalo phir se muskuraen chalo phir se dil jalaen jo guzar gain hain raaten unhen phir jaga ke laen jo bisar gain hain baaten unhen yaad mein bulaen chalo phir se dil lagaen chalo phir se muskuraen kisi shah-nashin pe jhalki wo dhanak kisi qaba ki kisi rag mein kasmasai wo kasak kisi ada ki koi harf-e-be-murawwat kisi kunj-e-lab se phuta wo chhanak ke shisha-e-dil tah-e-baam phir se tuta ye milan ki na milan ki ye lagan ki aur jalan ki jo sahi hain wardaten jo guzar gain hain raaten jo bisar gai hain baaten koi un ki dhun banaen koi un ka git gaen chalo phir se muskuraen chalo phir se dil jalaen