aao bachcho aao bachcho chhute paise lao bachcho rang birange phul khile hain ya mere ghubbare hain jaise tum pyare pyare ho ye bhi pyare pyare hain nai ada se nai shan se idhar-udhar lahraate hain qudrat ki rangini mein ye aur bhi rang milate hain mast fazaon mein bachchon ke ye masum ishaare hain rang birange phul khile hain ya mere ghubbare hain jitni lambi dor ho in ki ye utne hi unche jaen nil gagan mein ud ke damken dur se hum sab ko lalchaen tum ho is dharti ke tare ye aakash ke tare hain rang birange phul khile hain ya mere ghubbare hain nile pile kale ujle sang sang hi rahte hain mil-jul kar ek sath raho sab ye duniya se kahte hain in ka ye paigham hai jag ke sare log hamare hain rang birange phul khile hain ya mere ghubbare hain jaise tum pyare pyare ho ye bhi pyare pyare hain