khushi adam ke kisi jharoke ki ot se jhankti nazar ka fareb koi tawil be-rahm raston par sarab koi tamam shab jugnuon ko chunne ka khwab koi khushi wo rah rah ke chand lamhon ko sans leta habab koi udas taron ko chhedti ungliyon ke zakhmon se uthte sar ke khayal mein gum rabab koi khushi ki mizan ke jaziron se dur ek be-nishan sahil zamane bhar ki khalij hail ubharti maujon mein gharq hone ki dastanon ki jhilmilahat jo chhuna chaho to dastaras mein koi jazira na koi sahil ye khak aur aab ka tawazun ye band mutthi se zarra zarra phisalti mitti nazar mein collage ek mujarrad idhar guman ki munder par kuchh nishan anqa ke baithne ka fareb jaise tu us kinare taraazu thame mujassame ki safed aankhon pe manawiyyat ki kali patti wahi siyahi andhere ka hai jo pesh-khema wo sang aankhen ki jin mein putli kabhi nahin thi wo jin ki tah mein kisi kiran ka guzar nahin hai khushi hai kya munsifi hai kya kuchh khabar nahin hai