phir sada tang-o-tarik ghaaron se ubhri ta-ba-hadd-e-nazar nilgun aasmanon se uljhi phir sadaon ke be-nur se shamiyane muqayyad fazaon ka hissa bane aur bagulon mein uljha hua ek musafir gira zardiyon ne sadaon ka pichha kiya phir sadaon ke andhe kuen se zabanon ke pur-shor rahton ki ek ek kadi samne aa gai tab kisi ne kaha main sada ke safar mein munafea ka manshur le kar tijarat ki mandi mein utra kisi ki sada thi mujhe nek-o-bad se talluq nahin ab meri jeb mein to chamakte damakte khudaon ka dera kisi ne kaha hai bhayanak safar maut sa sansanati hui khamushi zad-e-rah gham-zada udhar mere ham-safar main khuda ki bhalai ko nikla hun lekin mere hath mein zindagi ki simatti lakiren siyahi mein lipta hua khun-asham khwahish ka sang-e-giran raste wahshaten zard viran chehre phirti hui sard aankhen jo pal pal ubharti tamannaon ka jism nochen to ek shor-e-be-rabt ubhre sada-e-be-nawa aaj ka iliya ai khuda ai khuda mujh ko aaram de zindagi ki sulagti sadaon se mujh ko bacha