main aksar socha karta hun kash main nat-khat baalak hota aur patak deta ek pal mein khwahish ke unche gumbad se jiwan ka be-rang khilauna aur kahin ja kar so jata log thithak jate pal bhar ko lambi aahen bharte kahte! kaisa khilauna! tut gaya hai! kaam mein phir wo yun kho jate jaise andhi shab mein dhuen ke sanp falak ki jaanib lapken