ye tanbe ka aakash ujale se khali aur ye lohe ke shahr dhuen mein dube hue ye niwan sign ki raushniyon mein ghiri hui tarik safen ye shor sharaba aane wali lambi raat ki haibat ka sach puchho to ab mera dukh tanhai nahin kuchh aur hi baat hai jis se dil ghabraya hai main chahun to mujh ko bhi koi be-kar bahana jine ka mil sakta hai main chahun to is shor sharabe mein khud ko kho sakta hun main chahun to mera dukh tanhai nahin kuchh aur hi baat hai jis se dil ghabraata hai