chalo kisi ki mazammat karen zaban kholen bahut dinon se jo tala laga hai honton par to dil mein kitni ghutan kitni zahr-naki hai kahin ye zahr ugal den kisi ko gali den magar ye log to shayad sab apne jaise hain shikastagi ka ek aaina jin ke chehre hain hamare nam ki milte hue se nam hain sab alag alag hain kahan hum ek izhdiham hain sab ek izhdiham jo pur-shor shah-rahon par khamosh rengta rahta hai sar jhukae hue na aankh uthane ki mohlat na lab-kushai ki tab nigah-o-dil ki asiri khamoshiyon ka azab use bura na kahen kyon na us ke sath chalen dil apna us ko dikhaen dukh us ka hum bhi sunen ki is tarah bhi to mumkin hai is ghutan ka ilaj