khidkiyan band huin naghma-e-didar ki lai tut gai kho gaya dhund mein khamoshi ki khilkhilati hui gul-rang sada ka chehra lag gaya rang ki lahron pe ye kaisa pahra tairti hai meri majruh samaat mein magar gum-shuda naghma-e-didar ki lai dekhti hain meri be-nur nigahen ab bhi khilkhilati hui gul-rang sada ka chehra mujh se kahta hai jo sargoshi mein kyon koi rang ki lahron pe bithae pahra rang ki lahr to ek khwab hai ek naghma hai aur naghme ko bhala qaid kiya hai kis ne khwab ko bhi koi zanjir pahna sakta hai