main ne apne mutale ki table se apni sari nazmen utha kar kapdon ki almari mein rakh din taki na main nazmon ko dekhun na wo mujhe aankhen dikhaen magar jab bhi main almari ka pat kholti darzon se jhankti nazmen roti chikhti aur main jaldi se almari band kar deti aaj bahut dinon baad main ne jab almari kholi to ghup khamoshi mujhe takkar takkar dekhne lagi main ne dare sahme junhi locker khola to gili-sili nazmen meri dabdabaati aankhon mein aan baithi hain hamesha hamesha ke liye