raat ke pichhle pahar ki sunsan sadken rim-jhim barasti barish ki phuwar mein bhigti jaise ji uthi thin jab mere hath apne hathon mein liye tum ne lams ki hiddat se bojhal hoti be-tartib sanson ke beach ulajhti apni dil-nashin aawaz mere kanon mein tumhaare liye meri aakhiri nazm surat utari thi is anmol lamhe mein tumhaari zat ke sehr mein khoi hui main kisi anjaan si yaad ki kasak tale dhire se sulagte hue tum mohabbat ka uluhi naghma alaptin gadi ke shishon se takraatin rim-jhim barasti bunden dashboard pe dhari bhap udati hamare labon mein paiwast hone ko be-qarar kafi ki do muntazir pyaliyan chahaar-su chhai tumhaare ehsas ki khushbu se jaise jawedan ho chale the yaad nahin padta hai ab ki main tum aur kafi ki mahak barish ke haale mein tumhaari nazmon ki chhatri tale ek dusre mein kitna ghul gae the bas itna pata hai ki waqt is lamhe apni mutthi mein qaid hamare hisse ke pal hum pe warne thahar gaya tha