main ne gulab ke paude se puchha aaj kal tum par phul kam aur kante ziyaada aa rahe hain kahne laga main tumhaara be-dam ghulam hun in dinon tum dushmani ke kante bone mein masruf ho tumhein kanton ki zarurat hai jis roz tum dosti ke safar par nikaloge dekhna main kaise phulon ke ambar laga dunga main ne fakhta se kaha duniya mein har taraf bad-amni phaili hai wo tumhaari shakh-e-zaitun wo shakh-e-amn kahan gai boli main ne to la kar tumhaare hath mein de di thi tumhi kahin rakh kar bhul gae ho dekho shayad tumhaari banduq ki nali mein na padi ho main ne taron bhare aasman ki taraf hasrat se dekha insan ke din kab phirenge ye qatl-o-ghaarat ye khun-kharaba kab khatm hoga ye zer-daston ka sabr ye zabardaston ka jabr ye lut aur jhut aakhir hamare nasib mein kyun likh diye gae hain ek sitara tuta aur mere dil ke takhta-e-siyah par raqam kar gaya jhank lo apne gireban mein