kaisi girhon mein tar-e-nafas hai ye uljha hua sari peshaniyon par lakiron ka phaila hua jal hai is mein jakdi gai muskurahat kahin dhajjiyan chaar atraf udne lagin kis ka malbus hai har nagar har gali khauf hi khauf hai agli bai hai kis ki kisi ko pata tak nahin munh chhupae hue tane, dushnam sahte hain jo ajnabi apne hi to nahin chaar-su hai ragen katti zamhariri hua sard-mehri ke barfab mausam mein thithure hue hont hain aur zaban ki ragen bhi tashannuj se khichne lagin kaisa aaseb-e-wahshat hai kyun sar se talta nahin aayaten bhi hamein bhul jaane lagin jibrail-e-amin suratunnas aur al-falaq padh ke phunko dilon mein aqidon ki girhen padi hain ye hum se to khulti nahin!