agar is zindagi ko ek phul aur ek khwab aur ek tum milte to phir ye zindagi ka canwas rangon se bhar jata mayassar hai mujhe bhi ek phul aur ek khwab aur ek tum lekin kabhi tum sath hote ho to phir wo phul meri dastaras hi mein nahin hota kabhi wo phul meri ungliyon ki por ko chhu kar hawa mein raqs karta hai to sare khwab mujh se ruth jate hain kabhi ruthe hue khwabon se main hum raqs hota hun to phir tum titliyon ke rang un ke pankh aur un ki subuk pairahni se ruth kar apne badan par ajnabi bezar-pan ki ek chadar tan lete ho main kaise titliyon ke pichhe bhagun apne tute khwab jodon aur phir is ajnabi bezar-pan ki chadaron ko noch dalun main kaise zindagi ke sare mausam sath rakkhun