fazaon mein hai subh ka rang tari gai hai abhi girls college ki lari gai hai abhi gunjti gungunati zamane ki raftar ka rag gati lachakti hui si chhalakti hui si bahakti hui si mahakti hui si wo sadkon pe phulon ki dhaari si banti idhar se udhar se hasinon ko chunti jhalakte wo shishon mein shadab chehre wo kaliyan si khulti hui munh andhere wo mathe pe sadi ke rangin kinare sahar se nikalti shafaq ke ishaare kisi ki ada se ayan khush-mazaqi kisi ki nigahon mein kuchh nind baqi kisi ki nazar mein mohabbat ke dohe sakhi ri ye jiwan piya bin na sohe ye khidki ka rangin shisha girae wo shishe se rangin chehra milae ye chalti zamin pe nigahen jamati wo honton mein apne qalam ko dabaati ye khidki se ek hath bahar nikale wo zanu pe girti kitaben sambhaale kisi ko wo har bar tewari si chadhti dukanon ke takhte adhure se padhti koi ek taraf ko simatti hui si kinare ko sadi ke batti hui si wo lari mein gunje hue zamzame se dabi muskurahat subuk qahqahe se wo lahjon mein chandi khanakti hui si wo nazron se kaliyan chatakti hui si saron se wo aanchal dhalakte hue se wo shanon se saghar chhalakte hue se jawani nigahon mein bahki hui si mohabbat takhayyul mein bahki hui si wo aapas ki chheden wo jhute fasane koi un ki baaton ko kaise na mane fasana bhi un ka tarana bhi un ka jawani bhi un ki zamana bhi un ka