ye shahr-e-na-rasai hai yahan dastur-e-goyai nahin hai yahan lab kholna bhi jurm hai yahan par jab kabhi aao khamoshi ka irada bandh kar aao yahan gunge gharon ki sari diwaron mein aawazon ke jangal jagte hain yahan aankhen nahin hotin yahan dil bhi nahin hote yahan bas ek hi chehra hai baqi sare chehre us ki naqlen hain sabhi chehron ke naqshe ek jaise hain wahi raste wahi galiyan wahi sadiyon ka chakkar ek jaisa hai azal se daere ka ek safar aur phir fana ka mukhtasar lamha yahi meri kahani hai yahi sab ki kahani hai ye shahr-e-na-rasai hai