tumhaare dukh ne mere andar ek shahr-e-matam daryaft kiya jahan har roz mere janm par jashn-e-girya manaya jata hai tum apni hansi ka tohfa kali inton se banae gae us taq mein rakh do jahan charagh ki khamoshi aur raat ki siskiyan sanpon ki tarah sarsaraati hain han!! sanpon se yaad aaya aaj sanpon se visal ki raat hai aansu khushk hain ghusl kaise karun? mere zakhmon se girne wale kide mere sae se bade ho rahe hain mujhe apni nigahbani ka mat kaho main to khud apni hifazat mein chori ho jata hun shiryanon ke sad-rahe par lahu rasta bhul gaya hai shahr mujhe meri aankh se nahin dekhta aaina mujh par nigah padte hi be-aks ho jata hai dekho raat ke kashkol mein ek nigah ki bhik bhi nahin pure chand ko tanhai ne tod dala ab us ki kirchiyan meri ashtray mein padi hain kaho ki kya kahun? aawazon ke nilam-ghar mein mujhe to chup lag jati hai!