zamane ki maili aankh ne mujhe dhundla diya dusron par gadhte gadhte mujhe apni tashwish hui bahut dinon se bujha pada tha jab do dimaghon ki ham-ahangi ne mujhe raushan aur rawan kar diya man main ne khud ko sahil par machhli ki aankh se dekha uf! sab kuchh kitna sathi hai! sahil dubne se pahle pahle main apne andar utar gaya jahan main pahle se maujud tha main ne khush-gawar hairat se khud ko chhua kahin main koi guzri hui saat to nahin ye jaan kar tasalli hui ki ek qadim khayal ki nigrani mein main kuchh aur gahra aur chamkila ho gaya hun aur ye bhi ki ab main apne aar par bhi dekh sakta hun!!