jab kutte raat ko rote hain to aksar log samajhte hain kuchh aisa hone wala hai jo hum ne ab tak socha tha na hi samjha tha jo hona tha wo kab ka lekin ho bhi chuka ye shahr jala is shahr mein raushan hanste baste ghar the kai sab rakh hue aur un ke makin kuchh qatl hue kuchh jaan bacha kar bhag gae jo ba-ismat thin ruswai ki khak odh ke rahguzar par baithi hain kuchh bewa hain kuchh pa-basta rishton ki wahshat sahti hain kuchh adh-nange bhuke bachche din bhar aawara phirte hain har jaanib mujrim hi mujrim un mein se kuchh hain pesha-war kuchh sikh rahe hain jurm ke fan ke raaz nae asrar nae jo hona tha ye sach hai us mein se to bahut kuchh ho bhi chuka lekin shayad kuchh aur bhi hone wala hai kutte to aakhir kutte hain din bhar kachre ke dheron par wo mare mare phirte hain jab raat utarne lagti hain aane wale dushman-mausam ki dahshat se sab mil kar rone lagte hain