muhib ruhon ke qahqahon se maasir-e-jaan laraz uthe hain lahu ki raftar zahr-e-qatil ki dhaar ban kar dil ki gahraiyon mein paiham utar rahi hai haddiyan aagahi ki bedar aag mein phir pighal rahi hain hayat se be-khabar fazaon mein jism tahlil ho raha hai shab-e-siyah ke darawne faslon se latki hui shappra-chashm aarzuen ye chahti hain ki tirgi ko main ruh apni farokht kar dun aur us ujale ko bhul jaun jo ab bhi mera masih-e-mauud-e-jism-o-jaan hai muhib ruhon ke qahqahon ne meri aawaz chhin li hai main ghar ki diwar par nigahen jamae baitha hun jaise mere tamam alfaz ghar ki diwar mein nihan hain muhib ruhon ke qahqahon mein kuchh ajnabi ajnabi sadaen ubhar rahi hain waqt ka chaak chal raha hai zamin ki sans ukhad rahi hai main sochta hun wo zard suraj na-jaane kab aaega ki jis ka kitab-e-sayyargan mein wada kiya gaya hai kitab-e-sayyargan ke malik main is andhere se thak gaya hun