bada hi pyara lage hai ye tifl-e-girya-kunan kisi khilaune ke chhinne pe ro raha hai bahut sitara aankhon mein moti chamak rahe hain bahut hai apne kargar-e-hasti mein mahw-e-rah mile jo mohlat-e-masrufiyat to dekhe use abhi wo aaegi aur be-qarar ho ke use utha ke banhon ke halqe mein pyar kar legi phir apne malgaje aanchal mein us ke aansuon ko wo jaise salma sitare ki tarah tankegi hain meri aankhon mein kab se sitare raqs-kunan badi ummid se main aasman takti rahi wo apne kar-e-jahan mein laga hua hai magar agar wo aa nahin sakta to itna hi kar de meri talab ko wahin se wo be-talab kar de mere sawal ki taqat ko chhin le mujh se main thak chuki hun tahayyur ki aah-o-zari se