ek nazm sirf tumhaare liye

mujh mein aatish jo chhupi hai use bhadkane mein
wasl se ziyaada tere hijr ki khwahish hai mujhe

jism aur jaan se aage bhi koi duniya hai
aur un rahon mein tanha hi bhatakna hai mujhe

aur un rahon mein tanha hi bhatakna hai mujhe
tujh ko taskhir-e-badan ki hi rahi hai khwahish

aur main ruh ke saude ke liye sochti hun
tujh ko malum hai jo shai bhi mayassar aa jae

us ki phir qadr kahan rahti hai
main tujhe saunp dun khud ko to khasara hai bahut

dubne ke liye aankhon ka kinara hai bahut
kya ye mumkin hai ki tu rang mein bhi rang le apne

aur daman pe mere dagh bhi koi na lage
wasl ke baad to hairat mein kami aati hai

phir junun-khezi ki shiddat mein kami aati hai
hairat-e-ishq ki gum-nam musafir hun mujhe

aisa radd kar meri hairat mein izafa ho jae
aur is ishq ki shiddat mein izafa ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close